su-e-manzil koi karwan luT gaya
kis ki ummid ka ye jahan luT gaya
tu ne uf tak na ki dekhta rah gaya
tere kuche mein ek karwan luT gaya
koi hasrat na gulchin ke dil mein rahi
phul murjha gae gulistan luT gaya
tum to hushiyar the kyun hue be-KHabar
dil to nadan tha na-gahan luT gaya
koi aae madad ke liye ab meri
gul-ruKHan luT gaya mah-washan luT gaya
hai shikayat tujhi se mere mehrban
pesh darban tera mehman luT gaya
shaiKH bhi kitna 'shadan' bala-nosh tha
baaton baaton mein pir-e-mughan luT gaya

Ghazal
Su-e-manzil koi karwan luT gaya
Shanti Lal Malhotra