surmai dhup mein din sa nahin hone pata
dhund wo hai ki ujala nahin hone pata
dene lagta hai koi zehn ke dar par dastak
nind mein bhi to main tanha nahin hone pata
gher leti hain mujhe phir se andheri raaten
meri duniya mein sawera nahin hone pata
chhin lete hain use bhi to ayaadat wale
dukh ka ek pal bhi to mera nahin hone pata
saKHt-jaani meri kya chiz hai hairat hairat
choT khata hun shikasta nahin hone pata
lakh chaha hai magar ye dil-e-wahshi duniya
tere hathon ka khilauna nahin hone pata
Ghazal
Surmai dhup mein din sa nahin hone pata
Nashtar Khaanqahi