اردو हिंदी
SurKHi-e-sham ne yun phul bikhere dil mein | Shaahi Shayari
surKHi-e-sham ne yun phul bikhere dil mein

Ghazal

SurKHi-e-sham ne yun phul bikhere dil mein

Jameel Malik

;

surKHi-e-sham ne yun phul bikhere dil mein
jaise chupke se utar aae sawere dil mein

hum to sadiyon se yun hi gosh bar-awaz rahe
jaane wo kaun hai kya raaz hain tere dil mein

pas shab bhar koi KHurshid-sifat rahta hai
din to tare se utar aate hain mere dil mein

pyar ki lu se munawwar hai shabistan-e-visal
aaj to aan mile sham sawere dil mein

hum musafir hain mohabbat ki kaThin rahon ke
thak bhi jate hain to karte hain basere dil mein

kyun bhaTakta hai idhar aa ke zara susta le
is taraf dhup hai baadal hai ghanere dil mein

apna sarmaya-e-fan phir bhi salamat hi raha
kitni hi bar 'jamil' aae luTere dil mein