اردو हिंदी
SurKH miTTi ko hawaon mein uDate hue hum | Shaahi Shayari
surKH miTTi ko hawaon mein uDate hue hum

Ghazal

SurKH miTTi ko hawaon mein uDate hue hum

Naeem Sarmad

;

surKH miTTi ko hawaon mein uDate hue hum
apni aamad ke liye dasht sajate hue hum

tujh tabassum ki mohabbat mein hue hain barbaad
muskuraenge tera sog manate hue hum

la-makani mein hamein chhoD ke jata hua tu
dasht-e-imkan se tujhe DhunD ke late hue hum

ai KHuda tu hi bata kaise karenge inkar
aalam-e-hu mein tujhe hath lagate hue hum

raqs karte hain to miTTi to uDegi pyare
un ko lagte hain karamat dikhate hue hum

apne hone se bhi inkar kiye jate hain
tere hone ka yaqin KHud ko dilate hue hum

ab ai wahshat mein gundhi KHak rakhi chaak pe aur
apne hone ke liye chaak ghumate hue hum

haalat-e-wajd ke haalat bata baat ho to
haalat-e-haal mein tafrih uThate hue hum

KHamushi shor hain aur shor bala ka 'sarmad'
tum ne dekhe hain kahin shor machate hue hum