surahi muzmahil hai mai ka piyala thak chuka hai
dar-e-saqi pe har ek aane wala thak chuka hai
andhero aao aa kar tum hi kuchh aaram de do
ki chalte chalte bechaara ujala thak chuka hai
adawat ki dararen waisi ki waisi hain ab tak
wo bharte bharte ulfat ka masala thak chuka hai
mujhe luTa zarurat ki yahan har company ne
musalsal karte karte dil kifalat thak chuka hai
suKHan mein kuchh nae majmua le kar aaiye aap
purani shairi se har risala thak chuka hai
bata ai 'faiz' aaKHir ganw ja kar kya karega
tu jis ke nam ki japta tha mala thak chuka hai

Ghazal
Surahi muzmahil hai mai ka piyala thak chuka hai
Faiz Khalilabadi