اردو हिंदी
Sunte hi dil ho gaya us yar ka asrar mast | Shaahi Shayari
sunte hi dil ho gaya us yar ka asrar mast

Ghazal

Sunte hi dil ho gaya us yar ka asrar mast

Miskeen Shah

;

sunte hi dil ho gaya us yar ka asrar mast
hoshiyari kya kare jab dil ho sau sau bar mast

shohra-e-afaq us mah se ye hai maston ka haal
phenkte hain sar se apne KHak par dastar mast

sar-barahna be-sar-o-saman jo dil-afgar hain
bazm-e-mastan mein wahi mashhur hain sardar mast

be-KHudi diwangi mein is tarah sarshaar hain
bhulte hain aap ko ho kafir o din-dar mast

kab unhen dair-o-haram yaad aae hai ai zahido
ku-e-jaanan mein hazaron ho gae hoshyar mast

kaifiyat donon jahan ki hai wahan hasil tamam
jab nazar aawen kisi ja par kahin do-chaar mast

haal aa jae abhi sab sakinan-e-charKH ko
tu bhi ho jawe ai 'miskin' sun ke ye ashaar mast