sunte hain phir chhup chhup un ke ghar mein aate jate ho
'insha' sahab nahaq ji ko wahshat mein uljhate ho
dil ki baat chhupani mushkil lekin KHub chhupate ho
ban mein dana shahr ke andar diwane kahlate ho
bekal bekal rahte ho par mahfil ke aadab ke sath
aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jate ho
pit mein aise lakh jatan hain lekin ek din sab nakaam
aap jahan mein ruswa hoge waz hamein farmate ho
hum se nam junun ka qaim hum se dasht ki aabaadi
hum se dard ka shikwa karte hum ko zaKHm dikhate ho
Ghazal
Sunte hain phir chhup chhup un ke ghar mein aate jate ho
Ibn e Insha