اردو हिंदी
Suni na dasht ya dariya ki bhi kabhi maine | Shaahi Shayari
suni na dasht ya dariya ki bhi kabhi maine

Ghazal

Suni na dasht ya dariya ki bhi kabhi maine

Seema Sharma Meeruthi

;

suni na dasht ya dariya ki bhi kabhi main ne
ki be-KHudi mein guzari hai zindagi main ne

bitai maut ke saye mein zindagi apni
bina hi zahr ke kar li hai KHud-kushi main ne

nadi ho tal samundar ya dasht ho koi
sabhi ke lab pe hi dekhi hai tishnagi main ne

kabhi to mera kaha man zindagi meri
teri KHushi mein hi pai hai har KHushi main ne

kabhi hai sard kabhi garm se libason mein
hawa ko di hai kai bar oDhni main ne

tere liye to zamin aasman ek kiye
kahan kahan na talasha tujhe KHushi main ne

udheDta hi raha tu yaqin ki chadar
tamam umr rafu ki silai ki main ne

tumhaari yaad ke paude laga ke is dil mein
faza-e-dil mein bhi KHushbu si ghol di main ne

gulab ki kali 'sima' nikhri hai jab
tumhaare ishq ki shabnam ki bund pi main ne