suni har baat apne rahnuma ki
yahi ek bhul hum ne bar-ha ki
hui jo zindagi se ittifaqan
wahi bhul us ne phir ek martaba ki
mujhi mein gunjti hain sab sadaen
magar phir bhi hai KHamoshi bala ki
har ek kirdar mein Dhalne ki chahat
matanat dekhiye bahrupiya ki
azal ke peshtar bhi kuchh to hoga
kahan phir had milegi ibtida ki
talatum hain mere meri hain lahren
mujhe kyun justuju ho naKHuda ki
hamare sath ho kar bhi nahin hai
shikayat kya karen us gum-shuda ki
har ek aahaT teri aamad ka dhoka
kabhi to laj rakh le is KHata ki
sarapa hae us nazuk badan ka
koi taswir jaise apsara ki
Ghazal
Suni har baat apne rahnuma ki
Pawan Kumar