suna di kis ne rudad-e-gham-e-dil kohsaron ko
main akasr sochta hun dekh kar in aabshaaron ko
gae mausam ka ek pila sa patta shaKH par rah kar
na jaane kya batana chahta hai in bahaaron ko
chale aao na rokega ghubar-e-rah ab tum ko
ki pur-nam kar diya ashkon se main ne rahguzaron ko
samajh pae hain in ko aur na samjhenge KHirad wale
dil-e-ashiq samajh leta hai jin mubham ishaaron ko
KHabar-name ki surKHi mein unhin ka zikr tha 'nazim'
batae the jo main ne raaz apne raaz-daron ko
Ghazal
Suna di kis ne rudad-e-gham-e-dil kohsaron ko
Nazim Barelvi