sulagti yaad se KHun aT na jae
dhuen se dil ki khai paT na jae
nai fikron se bheja phaT na jae
jo gham mera hai sab mein baT na jae
sarabon ko jalae rakh ki jab tak
ye chiKHen marti shab haT na jae
musalsal barish-e-uftad sah kar
saDak paimaishon ki kaT na jae
badan ka ghar hai dimak phailne se
ye Dar hai dil ka rauzan chaT na jae
sada-e-rang chhu kar paniyon ka
ghaTa taKHliqiyat ki chhaT na jae
'hanif' aaya hai tum se chand milne
daraazi dekho shab ki ghaT na jae
Ghazal
Sulagti yaad se KHun aT na jae
Hanif Tarin