sulagti ret ki qismat mein dariya likh diya jae
mujhe in jhil si aankhon mein rahna likh diya jae
teri zulfon ke sae mein agar ji lun main pal-do-pal
na ho phir gham jo mere nam sahra likh diya jae
mera aur us ka milna ab to na-mumkin sa lagta hai
use suraj mujhe shab ka sitara likh diya jae
akela main hi kyun aaKHir sajaun palkon pe tare
kabhi us ki bhi palkon pe sitara likh diya jae
mujhe chhoDa hai tapti dhup mein jis shaKHs ne tanha
use bhi gham ki duniya mein akela likh diya jae
jo shab-KHun marta hai meri basti ke ujalon par
muqaddar us ke bhi ghar ka andhera likh diya jae
kahin bujhti hai dil ki pyas ek do ghunT se 'anzar'
main suraj hun mere hisse mein dariya likh diya jae
Ghazal
Sulagti ret ki qismat mein dariya likh diya jae
Ateeq Anzar