sukut TuTne wala hai hadsa hoga
main jaanta hun ki phir koi saneha hoga
main apne aap ko ruk kar sameT lun ab bhi
ki is se aage bahut saKHt marhala hoga
har ek manzar-e-KHush-rang be-panah sahi
meri nazar mein wahi aks gum-shuda hoga
nishan paega apna na is safar mein wo
jahan bhi jaega sunsan rasta hoga
hamari ruh hamare badan ko tarsegi
hamare bich to sadiyon ka fasla hoga
na ru-ba-ru kisi KHwahish ki tishnagi hogi
na us ke honTon ka shadab zaiqa hoga
hamara zauq-e-hunar hai sadaqaton ka amin
hamare haq mein bhala kaise faisla hoga
Ghazal
Sukut TuTne wala hai hadsa hoga
Naz Quadri