sukut-e-shab se ek naghma suna hai
wahi kanon mein ab tak gunjta hai
ghanimat hai ki apne gham-zadon ko
wo husn-e-KHud-nigar pahchanta hai
jise kho kar bahut maghmum hun main
suna hai us ka gham mujh se siwa hai
kuchh aise gham bhi hain jin se abhi tak
dil-e-gham-ashna na-ashna hai
bahut chhoTe hain mujh se mere dushman
jo mera dost hai mujh se baDa hai
mujhe har aan kuchh banna paDega
meri har sans meri ibtida hai

Ghazal
Sukut-e-shab se ek naghma suna hai
Athar Nafees