sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujh ko
main rang hun so kisi mauj mein mila mujh ko
main in dinon teri aankhon ke iKHtiyar mein hun
jamal-e-sabz kisi tajrabe mein la mujh ko
main buDhe jism ki zillat uTha nahin sakta
kisi qadim tajalli se kar naya mujh ko
main apne hone ki takmil chahta hun sakhi
so ab badan ki hirasat se kar riha mujh ko
mujhe charagh ki hairat bhi ho chuki malum
ab is se aage koi rasta bata mujh ko
us ism-e-KHas ki tarkib se bana hun main
mohabbaton ke talaffuz se kar naya mujh ko
darun-e-sina jise dil samajh raha tha 'ali'
wo nili aag hai ye ab pata chala mujh ko
Ghazal
Sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujhko
Ali Zaryoun