sukun thoDa sa paya dhup ke ThanDe makanon mein
bahut jalne laga tha jism barfili chaTanon mein
kab aaoge ye ghar ne mujh se chalte waqt puchha tha
yahi aawaz ab tak gunjti hai mere kanon mein
janaza meri tanhai ka le kar log jab nikle
main KHud shamil tha apni zindagi ke nauha-KHwanon mein
meri mahrumiyan jab pattharon ke shahr se guzrin
chhupaya sar teri yaadon ke TuTe saebanon mein
mujhe meri ana ke KHanjaron ne qatl kar Dala
bahana ye bhi ek bechaargi ka tha bahanon mein
tamasha hum bhi apni bebasi ka dekh lete hain
teri yaadon ke phulon ko saja kar phul-danon mein
zamin pairon ke chhaale roz chun leti hai palkon se
taKHayyul roz le uDta hai mujh ko aasmanon mein
main apne-ap se har dam KHafa rahta hun yun 'azar'
purani dushmani ho jis tarah do KHandanon mein
Ghazal
Sukun thoDa sa paya dhup ke ThanDe makanon mein
Kafeel Aazar Amrohvi