اردو हिंदी
Sukun-pazir junun-e-shabab ho na saka | Shaahi Shayari
sukun-pazir junun-e-shabab ho na saka

Ghazal

Sukun-pazir junun-e-shabab ho na saka

Seemab Akbarabadi

;

sukun-pazir junun-e-shabab ho na saka
shaguft-e-mausam-e-gul kaamyab ho na saka

uDae barq o gul-o-lala ne bahut KHake
magar koi mere dil ka jawab ho na saka

wahan hum aarzu-e-KHwab-e-aish kya karte
jahan qayam ba-miqdar-e-KHwab ho na saka

badal gain wo nigahen ye hadsa tha aKHir
phir is ke baad koi inqalab ho na saka

wahan payam ki gunjaishen kahan 'simab'
jahan salam mera mustajab ho na saka