اردو हिंदी
Sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya | Shaahi Shayari
sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya

Ghazal

Sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya

Jumbish Khairabadi

;

sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya
jo aansu aankh mein aaya baDa be-e'tibar aaya

kisi ka bankpan sare zamane mein pukar aaya
chamak aankhon mein aai nok-e-mizhgan par nikhaar aaya

muqaddar apna apna hai gul-o-shabnam ki wadi mein
koi hansta hua aaya to koi ashk-bar aaya

mujhe kya wasta hai aap ke husn-e-taKHyyul se
meri aankhon pe jab aaya mere KHwabon ko pyar aaya

teri be-iltifati ko KHuda rakhe ki ai saqi
sharab-e-gham se hum tishna-labon par bhi KHumar aaya

hue hain rang-o-bu dast-o-gareban aise gulshan mein
nasim-e-subh ka daman bhi ho kar tar tar aaya

dhuan jo be-kason ki aah ka uTTha to ai 'jumbish'
chaman wale pukar uTThe ki wo abr-e-bahaar aaya