sukun-e-zat waqf-e-intishaar kar liya gaya
ghazab hua ki dil ka e'tibar kar liya gaya
qadam qadam mile jo aable rah-e-hayat mein
to aansuon ko misl-e-abshaar kar liya gaya
umid-e-subh-o-sham gham ke darmiyan basar jo ki
to saaton ko dard mein shumar kar liya gaya
mila fareb-o-makr se bhi kab wo hila jo magar
libas sadgi ka dagh-dar kar liya gaya
nakir ne madad baDi hisab rakh ke ki meri
gunah tamam umr be-shumar kar liya gaya
zaban-o-jism-o-jaan-o-dil gawah sab jo ban gae
to jurm un se ho ke darkinar kar liya gaya
gawah adliya subut hashiyon pe aa gae
hikayaton pe aise e'tibar kar liya gaya
zaban-e-haal muntaKHab hui bayan-e-dard ko
wajud aap apna tar-tar kar liya gaya
garan zamin-e-kisht-e-gham-e-jigar ko naqd ki ada
masarraton ka wahm tha udhaar kar liya gaya
jo ek jam 'farhat'-e-hayat ki umid tha
sitam ye hai ki wo bhi kal pukar kar liya gaya
Ghazal
Sukun-e-zat waqf-e-intishaar kar liya gaya
Farhat Nadir Rizwi