اردو हिंदी
Sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj | Shaahi Shayari
sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj

Ghazal

Sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj

Ahmad Ali Barqi Azmi

;

sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj
shikast-e-KHwab hai har shaKHs ka muqaddar aaj

hai waz-e-haal meri kyun ye bad se bad-tar aaj
amir-e-shahr ke badle hue hain tewar aaj

har ek shaKHs hai apne hisar mein mahsur
hai sab ke dar-pae-azar wo sitamgar aaj

kiya hai gardish-e-dauran ne dar-ba-dar sab ko
jo sar mein pahle tha wo panw mein hai chakkar aaj

samajh raha tha jise KHair-KHwah main apna
wahi hai dushman-e-jaan mera sab se baDh kar aaj

fasil-e-shahr ke andar the kitne ahl-e-hunar
nahin hai jin se shanasa koi bhi bahar aaj

dikha raha hai mujhe sabz bagh jo 'barqi'
wo le ke phirta hai kyun aastin mein KHanjar aaj