suKHan-war hun suKHan-fahmi ki lazzat banT deta hun
main apne sher ko KHushbu ki surat banT deta hun
faqat apne liye kuchh bhi kabhi rakkha nahin main ne
main auron ke liye apni zarurat banT deta hun
unhen majbur kar deti hai KHud se pyar karne mein
main logon ke dilon mein mohabbat banT deta hun
faqat do-bol hi chahat ke duniya ki zarurat hain
main logon ke dilon mein ye masarrat banT deta hun
bahut mumkin hai ye bhi ek din nazuk-badan nikle
main patthar ko bhi shishe ki nazakat banT deta hun
mohabbat nam hai dushman ko bhi dil se lagane ka
main apne pyar se duniya mein hairat banT deta hun
yahi aadat to hai 'sadi' sukun-e-qalb ka bais
main nafrat bhul jata hun mohabbat banT deta hun
Ghazal
SuKHan-war hun suKHan-fahmi ki lazzat banT deta hun
Said Iqbal Saadi