suKHan mein rang tumhaare KHayal hi ke to hain
ye sab karishme hawa-e-visal hi ke to hain
kaha tha tum ne ki lata hai kaun ishq ki tab
so hum jawab tumhaare sawal hi ke to hain
zara si baat hai dil mein agar bayan ho jae
tamam masale izhaar-e-haal hi ke to hain
yahan bhi us ke siwa aur kya nasib hamein
KHutan mein rah ke bhi chashm-e-ghazal hi ke to hain
jasarat-e-suKHan-e-shairan se Darna kiya
gharib mashghala-e-qil-o-qal hi ke to hain
hawa ki zad pe hamara safar hai kitni der
charagh hum kisi sham-e-zawal hi ke to hain
Ghazal
SuKHan mein rang tumhaare KHayal hi ke to hain
Irfan Siddiqi