suKHan ko tul na de apni ehtiyaj bata
uTha na dil ki koi baat kal pe aaj bata
khaDa hun dar pe sarasimgi ke aalam mein
wo mujh se puchh raha hai ki kaam-kaj bata
mufahamat meri koshish supurdagi tera kaam
tu apne shahr-e-junun ka mujhe riwaj bata
KHud apne hath se apni uDa chuka hun KHak
ab aur kya ho mukafat-e-ehtijaj bata
kitab-e-dil ko main tartib de raha hun phir
hawa-e-taza hai kaisa tera mizaj bata
wo gah shoala hai 'sahba' to gah shabnam hai
kahin pe dekha hai aisa bhi imtizaj bata

Ghazal
SuKHan ko tul na de apni ehtiyaj bata
Sahba Waheed