suKHan ki shab lahu hoti rahegi
kisi se guftugu hoti rahegi
wo suraj hai to ho nazdik-e-jaan bhi
ye tabish chaar-su hoti rahegi
darida-damani hai be-kali se
isi se ye rafu hoti rahegi
koi ghuncha sawar-e-kahkashan tha
KHabar ye ku-ba-ku hoti rahegi
main aksar sochta rahta hun kab tak
zamin be-abru hoti rahegi
samundar ke kinare mil rahe hain
ye duniya aab-ju hoti rahegi
KHazine kaenati kam na honge
namud-e-justuju hoti rahegi
nihaal-e-ishq afsurda na hoga
tamanna-e-numu hoti rahegi
na wo hoga na hum lekin ye duniya
haris-e-rang-o-bu hoti rahegi

Ghazal
SuKHan ki shab lahu hoti rahegi
Syed Amin Ashraf