suKHan ka us se yara bhi nahin hai
suKHan ke bin guzara bhi nahin hai
bayan sheron mein hum karte hain jitna
wo is darja to pyara bhi nahin hai
bahut shikwe hain us ko zindagi se
magar marna gawara bhi nahin hai
nazar mein jitni hairani hai utna
anokha to nazara bhi nahin hai
libas-e-jaan tujhe wapas to de dun
magar ek qarz utara bhi nahin hai
nikal aae dil-e-viran ki jaanib
koi qismat ka mara bhi nahin hai
sahaara us ka lena paD gaya hai
jo KHud apna sahaara bhi nahin hai
jise 'zishan' baDh kar rokna tha
use main ne pukara bhi nahin hai
Ghazal
SuKHan ka us se yara bhi nahin hai
Zeeshan Ilahi