اردو हिंदी
Subh safar aur sham safar | Shaahi Shayari
subh safar aur sham safar

Ghazal

Subh safar aur sham safar

Abdul Mannan Tarzi

;

subh safar aur sham safar
hasti ka anjam safar

unche nam se kya hota hai
karna hai be-nam safar

suniye KHizan se kya kahti hai
gul gulshan gulfam safar

chand-sitare aur hawa
kis ko hai aaram safar

bachiye bachiye us se bachiye
kar de jo badnam safar

gahe kaam bigaDe bhi hai
gahe aawe kaam safar

khil nahin pae aur murjhae
hae re be-hangam safar

kaisa sauda sar mein samaya
sal-o-mah-o-ayyam safar

shikwa hai be-baal-o-pari ka
dekhiye zer-e-dam safar

tum bhi raho tayyar hi 'tarzi'
'ghaalib' aur 'KHayyam' safar