subh ke shor mein namon ki farawani mein
ishq karta hun isi be-sar-o-samani mein
surma jis ke kinaron se palaT aate hain
main ne kashti ko utara hai usi pani mein
sufiya tum se mulaqat karunga ek roz
kisi sayyare ki jalti hui uryani mein
main ne angur ki belon mein tujhe chum liya
kar diya aur izafa teri hairani mein
kitna pur-shor hai jismon ka andhera 'sarwat'
guftugu KHatm hui jati hai jaulani mein

Ghazal
Subh ke shor mein namon ki farawani mein
Sarvat Husain