subh ka jharna hamesha hansne wali aurten
jhuTpuTe ki naddiyan KHamosh gahri aurten
moatadil kar deti hain ye sard mausam ka mizaj
barf ke Tilon pe chaDhti dhup jaisi aurten
sabz naranji sunahri khaTTi miThi laDkiyan
bhaari jismon wali Tapke aam jaisi aurten
saDkon bazaron makanon daftaron mein raat din
lal nili sabz nili jalti bujhti aurten
shahr mein ek bagh hai aur bagh mein talab hai
tairti hain is mein saton rang wali aurten
saikDon aisi dukanen hain jahan mil jaengi
dhat ki patthar ki shishe ki rabaD ki aurten
munjamid hain barf mein kuchh aag ke paikar abhi
maqbaron ki chadaren hain phul jaisi aurten
un ke andar pak raha hai waqt ka aatish-fishan
jin pahaDon ko Dhake hain barf jaisi aurten
aansuon ki tarah tare gir rahe hain arsh se
ro rahi hain aasmanon ki akeli aurten
ghaur se suraj nikalte waqt dekho aasman
chumti hain kis ka matha ujli lambi aurten
sabz sone ke pahaDon par qatar-andar-qatar
sar se sar joDe khaDi hain lambi sidhi aurten
waqai donon bahut mazlum hain naqqad aur
man kahe jaane ki hasrat mein sulagti aurten
Ghazal
Subh ka jharna hamesha hansne wali aurten
Bashir Badr