subh-e-visal-e-zist ka naqsha badal gaya
murgh-e-sahar ke bolte hi dam nikal gaya
daman pe loTne lage gir gir ke tifl-e-ashk
roe firaq mein to dil apna bahal gaya
dushman bhi gar mare to KHushi ka nahin mahal
koi jahan se aaj gaya koi kal gaya
surat rahi na shakl na ghamza na wo ada
kya dekhen ab tujhe ki wo naqsha badal gaya
qasid ko us ne qatl kiya purze kar ke KHat
munh se jo us ke nam hamara nikal gaya
mil jao gar to phir wahi baham hon sohbaten
kuchh tum badal gae ho na kuchh main badal gaya
mujh diljale ki nabz jo dekhi tabib ne
kahne laga ki aah mera hath jal gaya
jita raha uThane ko sadme firaq ke
dam wasl mein tera na 'amanat' nikal gaya
Ghazal
Subh-e-visal-e-zist ka naqsha badal gaya
Amanat Lakhnavi