subh-e-qayamat jin honTon pe dilase dekhe
kya lab-e-dariya un jaise bhi pyase dekhe
kaun wafa ki manzil se is shan se guzra
chaak-e-qaba dekhe jo koi bala se dekhe
hathon mein mizan labon par hukm-e-qaza hai
hakim-e-shahr bhi aksar hum ne KHuda se dekhe
dekhne wale yun to bahut dekhe hain lekin
mar jaun jo koi teri ada se dekhe
jin ko zom tha band-e-mizha ki mazbuti par
un aankhon se bahte hue dariya se dekhe
jin hathon se baTti KHairaaten dekhi thin
in aankhon se un hathon mein kase dekhe
is shahr-e-na-pursan mein hum ne to 'azar'
chehre gulon se dekhe dil sahra se dekhe
Ghazal
Subh-e-qayamat jin honTon pe dilase dekhe
Rashid Aazar