اردو हिंदी
Subh-e-nau hum to tere sath numayan honge | Shaahi Shayari
subh-e-nau hum to tere sath numayan honge

Ghazal

Subh-e-nau hum to tere sath numayan honge

Rais Amrohvi

;

subh-e-nau hum to tere sath numayan honge
aur honge jo halak-e-shab-e-hijran honge

sadma-e-zist ke shikwe na kar ai jaan-e-'rais'
ba-KHuda ye na tere dard ka darman honge

meri wahshat mein abhi aur taraqqi hogi
tere gesu to abhi aur pareshan honge

aazmaega bahar-haal hamein jabr-e-hayat
hum abhi aur asir-e-gham-e-dauran honge

aashiqi aur marahil se abhi guzregi
imtihan aur mohabbat ke meri jaan honge

qalb-e-pakiza-nihad o dil-e-safi de kar
aaina hum ko banaya hai to hairan honge

sadqa-e-tirgi-e-shab se gila-sanj na ho
ki nae chand isi shab se firozan honge

aaj hai jabr-o-tashaddud ki hukumat hum par
kal hamin beKH-kun-e-qaisar-o-KHaqan honge

wo ki auham o KHurafat ke hain said-e-zabun
aaKHir is dam-e-ghulami se gurezan honge

sirf tariKH ki raftar badal jaegi
nai tariKH ke waris yahi insan honge