subh-e-bahaar-o-sham-e-KHizan kuchh na kuchh to ho
be-nam zindagi ka nishan kuchh na kuchh to ho
KHamoshiyon ki aag mein jalta hai mai-kada
dil-dadgan-e-shoala-ruKHan kuchh na kuchh to ho
jine ke waste koi surat to chahiye
ho sham-e-anjuman ki dhuan kuchh na kuchh to ho
chup chup hai mauj aur kinare udas hain
ai zindagi ke sail-e-rawan kuchh na kuchh to ho
subh-e-azal ka rup ki sham-e-abad ka git
saya ho dhup ho ki guman kuchh na kuchh to ho
saqi nae charagh mubarak tujhe magar
jo bujh chuke hain un ka bayan kuchh na kuchh to ho
koi hasin git koi ras-bhari ghazal
yaro ilaj-e-gham-zadgan kuchh na kuchh to ho
mana ki 'tab' yun bhi guzar jaegi magar
zikr-e-jamal-e-gul-badnan kuchh na kuchh to ho

Ghazal
Subh-e-bahaar-o-sham-e-KHizan kuchh na kuchh to ho
Tab Aslam