اردو हिंदी
Subh-dam uTh kar tera pahlu se jaana yaad hai | Shaahi Shayari
subh-dam uTh kar tera pahlu se jaana yaad hai

Ghazal

Subh-dam uTh kar tera pahlu se jaana yaad hai

Mirza Maseeta Beg Muntahi

;

subh-dam uTh kar tera pahlu se jaana yaad hai
loTna dil ka jigar ka phaDphaDana yaad hai

yar tha pahlu mein shishe ki pari thi samne
kyun dil-e-nalan tujhe wo bhi zamana yaad hai

sun ke ahwal-e-mohabbat ko mera bola wo shoKH
jaan dene ka tujhe achchha bahana yaad hai

loT tha dil qamat-e-dildar par muddat hui
naKHl-e-tuba par tha apna aashiyana yaad hai

kaun dekhe KHanda-e-gul ki taraf ai andalib
ek muddat se kisi ka muskurana yaad hai

kya dikhata hai falak abr-e-siyah mein ru-e-mah
hum ko baalon mein kisi ka munh chhupana yaad hai

ho muqabil nala-e-dard-e-dil-e-ushshaq ke
baghban bulbul ko aisa bhi tarana yaad hai

hijr ki shab nind aae aashiq-e-bimar ko
'muntahi' tujh ko koi aisa fasana yaad hai