sozish-e-gham ke siwa kahish-e-furqat ke siwa
ishq mein kuchh bhi nahin dard ki lazzat ke siwa
dil mein ab kuchh bhi nahin un ki mohabbat ke siwa
sab fasane hain haqiqat mein haqiqat ke siwa
kaun kah sakta hai ye ahl-e-tariqat ke siwa
sare jhagDe hain jahan mein teri nisbat ke siwa
kitne chehron ne mujhe dawat-e-jalwa baKHshi
koi surat na mili aap ki surat ke siwa
gham-e-uqba gham-e-dauran gham-e-hasti ki qasam
aur bhi gham hain zamane mein mohabbat ke siwa
bazm-e-jaanan mein are zauq-e-farawan ab tak
kuchh bhi hasil na hua dida-e-hairat ke siwa
wo shab-e-hijr wo tarik faza wo wahshat
koi gham-KHwar na tha dard ki shiddat ke siwa
mohtasib aao chalen aaj to mai-KHane mein
ek jannat hai wahan aap ki jannat ke siwa
jo tahi-dast bhi hai aur tahi-daman bhi
wo kahan jaega tere dar-e-daulat ke siwa
jis ne qudrat ke har iqdam se Takkar li hai
wo pashiman na hua jabr-e-mashiyyat ke siwa
mujh se ye puchh rahe hain mere ahbab 'aziz'
kya mila shahr-e-suKHan mein tumhein shohrat ke siwa
Ghazal
Sozish-e-gham ke siwa kahish-e-furqat ke siwa
Aziz Warsi