soz-e-gham-e-firaq se dil ko bachae kaun
zalim teri lagai hui ko bujhae kaun
miTTi mariz-e-gham ki Thikane lagae kaun
duniya to un ke sath hai mayyat uThae kaun
tewar chaDha ke puchh rahe hain wo haal-e-dil
rudad-e-gham to yaad hai lekin sunae kaun
hum aaj kah rahe hain yahan dastan-e-qais
kal dekhiye hamara fasana sunae kaun
ai naKHuda KHuda pe mujhe chhoD kar to dekh
sahil pe kaun ja ke lage Dub jae kaun
ruswa karegi dekh ke duniya mujhe 'qamar'
is chandni mein un ko bulane ko jae kaun

Ghazal
Soz-e-gham-e-firaq se dil ko bachae kaun
Qamar Jalalvi