soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshad kiya
ja tujhe kashmakash-e-dahr se aazad kiya
wo karen bhi to kin alfaz mein tera shikwa
jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya
jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya
ai main sau jaan se is tarz-e-takallum ke nisar
phir to farmaiye kya aap ne irshad kiya
is ka rona nahin kyun tum ne kiya dil barbaad
is ka gham hai ki bahut der mein barbaad kiya
itna manus hun fitrat se kali jab chaTki
jhuk ke main ne ye kaha mujh se kuchh irshad kiya
meri har sans hai is baat ki shahid ai maut
main ne har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiya
mujh ko to hosh nahin tum ko KHabar ho shayad
log kahte hain ki tum ne mujhe barbaad kiya
kuchh nahin is ke siwa 'josh' harifon ka kalam
wasl ne shad kiya hijr ne nashad kiya
Ghazal
Soz-e-gham de ke mujhe usne ye irshad kiya
Josh Malihabadi