اردو हिंदी
Soz-e-gham chiz hai kya kuchh hamein malum to ho | Shaahi Shayari
soz-e-gham chiz hai kya kuchh hamein malum to ho

Ghazal

Soz-e-gham chiz hai kya kuchh hamein malum to ho

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

;

soz-e-gham chiz hai kya kuchh hamein malum to ho
ye maraz hai ki dawa kuchh hamein malum to ho

roz-o-shab hoti rahe taza qayamat barpa
zindagani ka maza kuchh hamein malum to ho

hum bhi parwana-mizaji ka dikhaen aalam
qimat-o-qadr-e-wafa kuchh hamein malum to ho

phir laga lenge kabhi chand sitaron ka suragh
pahle KHud apna pata kuchh hamein malum to ho

aap ke lutf se mahrum jo hum rahte hain
kis KHata ki hai saza kuchh hamein malum to ho

dil ki dhaDkan na sahi aap ki aahaT hi sahi
saz-e-hasti ki sada kuchh hamein malum to ho

jaan-o-dil hum bhi karen nazr-e-mohabbat 'mansha'
itni mehnat ka sila kuchh hamein malum to ho