اردو हिंदी
Sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain | Shaahi Shayari
sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain

Ghazal

Sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain

Ghulam Mohammad Qasir

;

sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain
sada se parinde ki KHatir kya reshmi jal banate hain

ummid ki sukhti shaKHon se sare patte jhaD jaenge
is KHauf se apni taswiren hum sal-ba-sal banate hain

zaKHmon ko chhupane ki KHatir kapDe hi badalna chhoD diya
puchho to sahi hum kis ke liye apna ye haal banate hain

wo bolti aankhen milte hi jhuk jati hain KHamoshi se
hum un ke jawab se phir apna ek aur sawal banate hain