اردو हिंदी
Soe huon mein KHwab se bedar kaun hai | Shaahi Shayari
soe huon mein KHwab se bedar kaun hai

Ghazal

Soe huon mein KHwab se bedar kaun hai

Sajjad Baqar Rizvi

;

soe huon mein KHwab se bedar kaun hai
is aalam-e-KHayal mein hushiyar kaun hai

mat puchh us ka talib-e-didar kaun hai
ye dekh mohr-bar-lab-e-guftar kaun hai

utra hai chand sine mein ya KHud hi jal uThe
tarikiyon mein dil ki ziya-bar kaun hai

arz-e-hunar mein koh-e-wafa par ho tesha-zan
de jaan nazr-e-shoala-e-izhaar kaun hai

jo fan-taraaziyan qad-o-gesu ki bhanp le
jo jaanch le qayamat-e-raftar kaun hai

sab apne apne dar-o-rasan sath le chalo
puchhenge wo ki tum mein wafadar kaun hai

kuchh log apne KHun mein naha kar chale gae
ab surKH-ru-e-arsa-e-paikar kaun hai

do-gam dil ki rah pe chalna muhaal hai
ab aur aisi wadi-e-pur-KHar kaun hai

patthar se aag aag se jo lae ju-e-shir
tum mein wo tesha-dar-e-fusun-kar kaun hai

shayad koi paTakta hai sar chal ke dekhiye
'baqar' hai qais hai pas-e-diwar kaun hai