soe hue palang ke sae jaga gaya
khiDki khuli to aasman kamre mein aa gaya
aangan mein teri yaad ka jhonka jo aa gaya
tanhai ke daraKHt se patte uDa gaya
hanste chamakte KHwab ke chehre bhi miT gae
batti jali to man mein andhera sa chha gaya
aaya tha kale KHun ka sailab pichhli raat
barson purani jism ki diwar Dha gaya
taswir mein jo qaid tha wo shaKHs raat ko
KHud hi frame toD ke pahlu mein aa gaya
wo chae pi raha tha kisi dusre ke sath
mujh par nigah paDte hi kuchh jhenp sa gaya
Ghazal
Soe hue palang ke sae jaga gaya
Adil Mansuri