اردو हिंदी
Soe hue jazbon ko jaga kar phir wo sham na aai | Shaahi Shayari
soe hue jazbon ko jaga kar phir wo sham na aai

Ghazal

Soe hue jazbon ko jaga kar phir wo sham na aai

Basheer Munzir

;

soe hue jazbon ko jaga kar phir wo sham na aai
sang tere bas ek din aa kar phir wo sham na aai

teri baaton ki KHushbu se mahki wadi wadi
phulon ke ambar laga kar phir wo sham na aai

nadi kinare ka wo manzar takne ko ji chahe
kunjon ki ek Dar uDa kar phir wo sham na aai

baiThe baiThe jal uThti hain bhigi bhigi aankhen
aab-e-rawan mein aag laga kar phir wo sham na aai

roz hi suraj nikle 'manzar' roz hi suraj Dube
main jis ki rah dekhun ja kar phir wo sham na aai