soch mein gum be-karan pahnaiyan
ishq hai aur hijr ki tanhaiyan
raat kahti hai ki kaTne ki nahin
dard kahta hai karam-farmaiyan
bain karti hai darichon mein hawa
raqs karti hain siyah parchhaiyan
KHamushi jaise koi aah-e-tawil
siskiyan leti hui tanhaiyan
kaun tu hai kaun main kaisi wafa
hasil-e-hasti hain kuchh ruswaiyan
yaad se teri sukun yun aa gaya
subh dam jaise chalen purwaiyan

Ghazal
Soch mein gum be-karan pahnaiyan
Saleem Ahmed