soch ka saniya dam bhar ko gaya yar ke pas
panw be-saKHta le aae mujhe kar ke pas
ek patthar hai ki bas surKH hua jata hai
koi pahron se khaDa hai kisi diwar ke pas
ghanTiyan shor machati hain mere kanon mein
phone murda hai magar bistar-e-bedar ke pas
kis tarah barf-bhari raat guzari hogi
main bhi maujud na tha yar-e-tarah-dar ke pas
ibrat-amoz hai darbar-e-shab-o-roz ka taj
tasht-e-tariKH mein sar rakkhe hain dastar ke pas
chashm-e-lala pe siyah paTTiyan bandhin 'mansur'
suliyan gaDne wale gul-o-gulzar ke pas
Ghazal
Soch ka saniya dam bhar ko gaya yar ke pas
Mansoor Aafaque