siyahkar the ba-safa ho gae hum
tere ishq mein kya se kya ho gae hum
na jaana ki shauq aur bhaDkega mera
wo samjhe ki us se juda ho gae hum
dam-e-wapsin aae pursish ko nahaq
bas ab jao tum se KHafa ho gae hum
hue mahw kis ki tamanna mein aise
ki mustaghni-e-ma-siwa ho gae hum
unhen ranj ab kyun hua hum to KHush hain
ki mar kar shahid-e-wafa ho gae hum
jab un se adab ne na kuchh munh se manga
to ek paikar-e-iltija ho gae hum
teri fikr ka mubtila ho gaya dil
magar qaid-e-gham se riha ho gae hum
fana ho ke rah-e-mohabbat mein 'hasrat'
saza-war-e-KHuld-e-baqa ho gae hum
Ghazal
Siyahkar the ba-safa ho gae hum
Hasrat Mohani