اردو हिंदी
Siyahi jaise gir jae dam-e-tahrir kaghaz par | Shaahi Shayari
siyahi jaise gir jae dam-e-tahrir kaghaz par

Ghazal

Siyahi jaise gir jae dam-e-tahrir kaghaz par

Mirza Ghalib

;

siyahi jaise gir jae dam-e-tahrir kaghaz par
meri qismat mein yun taswir hai shab-ha-e-hijran ki

kahun kya garm-joshi mai-kashi mein shoala-ruyan ki
ki sham-e-KHana-e-dil aatish-e-mai se farozan ki

hamesha mujh ko tifli mein bhi mashq-e-terah-rozi thi
siyahi hai mere ayyam mein lauh-e-dabistan ki

daregh! aah-e-sahar-gah kar-e-baad-e-subh karti hai
ki hoti hai ziyaada sard-mehri shama-ruyan ki

mujhe apne junun ki be-takalluf parda-dari thi
wa-lekin kya karun aawe jo ruswai gareban ki

hunar paida kiya hai main ne hairat-azmai mein
ki jauhar aaine ka har palak hai chashm-e-hairan ki

KHudaya kis qadar ahl-e-nazar ne KHak chhani hai
ki hain sad-raKHna jun ghirbaal diwaren gulistan ki

hua sharm-e-tahi-dasti se se wo bhi sar-nigun aaKHir
bas ai zaKHm-e-jigar ab dekh le shorish namak-dan ki

bayaad-e-garmi-e-sohbat ba-rang-e-shoala dahke hai
chhupaun kyunki 'ghaalib' sozishen dagh-e-numayan ki

junun tohmat-kash-e-taskin na ho gar shadmani ki
namak-pash-e-KHarash-e-dil hai lazzat zindagani ki

kashakash-ha-e-hasti se kare kya sai-e-azadi
hui zanjir-e-mauj-e-ab ko fursat rawani ki

na khinch ai sai-e-dast-e-na-rasa zulf-e-tamanna ko
pareshan-tar hai mu-e-KHama se tadbir mani ki

kahan hum bhi rag-o-pai rakhte hain insaf bahattar hai
na khinche taqat-e-KHamyaza tohmat na-tawani ki

takalluf-bartaraf farhad aur itni subukdasti
KHayal aasan tha lekin KHwab-e-KHusraw ne girani ki

pas-az-murdan bhi diwana ziyarat-gah-e-tiflan hai
sharar-e-sang ne turbat pe meri gul-fishani ki

'asad' ko boriye mein dhar ke phunka mauj-e-hasti ne
faqiri mein bhi baqi hai shararat naujawani ki