اردو हिंदी
Siyah-KHana-e-dil par nazar bhi karta hai | Shaahi Shayari
siyah-KHana-e-dil par nazar bhi karta hai

Ghazal

Siyah-KHana-e-dil par nazar bhi karta hai

Khaleel Tanveer

;

siyah-KHana-e-dil par nazar bhi karta hai
meri KHataon ko wo darguzar bhi karta hai

parind unchi uDanon ki dhun mein rahta hai
magar zamin ki hadon mein basar bhi karta hai

tamam umr ke dariya ko moD deta hai
wo ek harf jo dil par asar bhi karta hai

wo log jin ki zamana hansi uData hai
ek umr baad unhen mo'tabar bhi karta hai

jala ke dasht-e-talab mein ummid ki shamen
aziyyaton se hamein be-KHabar bhi karta hai