siyah dard ka ye saeban gir jae
hamin pe TuT ke kash aasman gir jae
KHaraba-e-dil-e-tanha na dekha jaega
hamin makin hain to hum par makan gir jae
main is larazti si diwar-e-dil ka nauha hun
jo kahte kahte koi dastan gir jae
sambhal sambhal ke uTha bar-e-bekasi ka pahaD
tere jigar pe na sar ki chaTan gir jae
na aise laung ghuma nak mein hasin muTiyar
jo hal chalate hain koi kisan gir jae
dua-e-nim-shabi aur yaqin-e-be-asri
ki jaise tir se pahle kaman gir jae
'musawwir' aisi hui tang ye zamin hum par
baDhin jidhar bhi wahin aasman gir jae
Ghazal
Siyah dard ka ye saeban gir jae
Musavvir Sabzwari

