siwae rahmat-e-rab kuchh nahin hai
bahut kuchh tha magar ab kuchh nahin hai
jahan main hun magar kya jaaniye kyun
mujhe duniya se matlab kuchh nahin hai
ye waqt-e-naza hai kya nazr dun main
ab aae ho yahan jab kuchh nahin hai
andhere mein wo sujhi ye na sujhi
teri shab hai meri shab kuchh nahin hai
faqat taqdir ki kaya palaT hai
munasib aur insab kuchh nahin hai
na puchho dil se us ki rah ka haal
siwa-e-ishq mazhab kuchh nahin hai
na ho gar sham-e-hijran ke barabar
tu bahar-e-wasl ek shab kuchh nahin hai
pas-e-dil ab kahan aabaadi-e-dahr
jo sab kuchh tha wahi sab kuchh nahin hai
KHuda ka wasta kya dun use main
jahan main jis ka mazhab kuchh nahin hai
chaman tha jab chaman tha aashiyan bhi
wahin tha main jahan ab kuchh nahin hai
muhassal nazm-e-'saqib' ka na puchho
faqat lafzen hain matlab kuchh nahin hai

Ghazal
Siwae rahmat-e-rab kuchh nahin hai
Saqib Lakhnavi