sitamgaron se Darun chup rahun nibah karun
KHuda wo waqt na lae main ye gunah karun
meri nazar mein ana ke sharar salamat hain
inhen bujhaun to tazim kam-nigah karun
meri zaban ko saliqa nahin guzarish ka
main apne haq se ziyaada na koi chah karun
pahaD mere tahawwur ka istiara hai
main pastiyon se bhala kaise rasm-o-rah karun
masaf-e-zist mein mujh ko bas aagahi de do
haram hai jo talab phir koi sipah karun
kisi ko KHauf-e-salasil kisi ko hirs-e-karam
main apne haq mein KHudaya kise gawah karun
sitam to ye hai ki fauj-e-sitam mein bhi 'anjum'
bas apne log hi dekhun jidhar nigah karun

Ghazal
Sitamgaron se Darun chup rahun nibah karun
Anjum Khaleeq