sitamgar tujh se hum kab shikwa-e-bedad karte hain 
hamein fariyaad ki aadat hai hum fariyaad karte hain 
mataa-e-zindagani aur bhi barbaad karte hain 
hum is surat se taskin-e-dil-e-nashad karte hain 
hawao ek pal ke waste lillah ruk jao 
wo meri arz par dhime se kuchh irshad karte hain 
na jaane kyun ye duniya chain se jine nahin deti 
koi puchhe hum is par kaun si be-dad karte hain 
nazar aata hai un mein beshtar ek narm-o-nazuk dil 
masaib ke liye sine ko jo faulad karte hain 
KHuda ki maslahat kuchh is mein hogi warna behis but 
kise shadan banate hain kise nashad karte hain 
nahin dekha kahin jo majra-e-ishq mein dekha 
ki ahl-e-dard chup hain chaara-gar fariyaad karte hain 
asir-e-daimi gar dil na ho to aur kya ho jab 
kahin wo muskura kar ja tujhe aazad karte hain 
kiya hoga kabhi aadam ko sajda kahne sunne se 
farishte ab kahan parwa-e-adam-zad karte hain 
hamein ai dosto chup-chap mar jaana bhi aata hai 
taDap kar ek zara dil-jui-e-sayyaad karte hain 
bahut sada sa hai ai 'kaif' apne gham ka afsana 
wo hum ko bhul baiThe hain jinhen hum yaad karte hain
        Ghazal
Sitamgar tujhse hum kab shikwa-e-bedad karte hain
Saraswati Saran Kaif

